Dil Soz Se Khali Hai Nigah Paak Nahi HaiDil soz se khali hai nigah paak nahi haiPhir is mein ajab kya ki tu be-baak nahi haiHai zauq-e-tajalli bhi isi khaak mein pinhanGafil tu nira sahib-e-idraak nahi haiWo aankh ke hai surma-e-afarng se roshanPur-kaar o sukhan-saaz hai nam-naak nahi haiKya sufi o mulla ko khabar mere junoon keeUn ka sar-e-daman bhi abhi chaak nahi haiKab tak rahe mahkumi-e-anjum mein meri khaakYa main nahi ya gardish-e-aflaak nahi haiBijli hun nazar koh o bayaban pe hai meriMere liye shayaan khas o khaashak nahi haiAalam hai faqat momin-e-janbaz kee meerasMomin nahi jo sahib-e-laulak nahi hai
Aap Ki Nigah Agar Meharban Ho JaeAap ki nigah agar meharban ho jaeMain jis zameen pe hoon woh asman ho jaiHai ab bhi aap ko shak mere dosti parTo phir ik baar mera imtehaan ho jai
Tum Ne Jo Chonk Kar Har Jagah Nigah Kee HogiTum ne jo chonk kar har jagah nigah kee hogiMere hi dard-e-mohabbat ne sada di hogiYe jo moti baraste hain teri yaad mein aksarBadlon ne meri aankhon ko dua di hog
Aap Kew Nigah Agar Meharban Ho JayeAap kew nigah agar meharban ho jayeMain jis zameen pe hun wo aasman ho jayeHai ab bhi aap ko shak mere ishq parTo phir ek baar mera imtihan ho jaye